Inkaar - Kuch Bhi Ho Sakta hai - lyrics

Inkaar - Kuch Bhi Ho Sakta hai - lyrics

Song : Kuch Bhi Ho Sakta Hai
Film : Inkaar (2013)
Singer : Suraj Jagan
Composer : Shantanu Moitra
Lyricist : Swanand Kirkire
Music Label : T-Series


Futpaatho pe jo sota tha

Akhbaaro me abb chhapta hai

Kal tak jo criminal tha

Abb TV pe bikta hai

Girgit hai ye woh gutter

Rang yun badalta hai

Jaa kuch bhi ho sakta hai...

 

Jo sapna tune dekha

Woh sabne hi hai dekha

Aisa kya kiya hai saale tune hi naya

Jo fitrat hai naa teri

Woh maashuka hai teri

Uske peeche tu gaya tto kya bura kiya

Khaa li jo maat dikhi aaukat

Ye bhi haalaat.. badlenge be

Jaa.. kuch bhi ho sakta hai..

 

Dooje ki thaali me zyada hi dikhta hai

Fokat ki daaru pe gham zyada chalakta hai

Chhipkali ki tarah regta sarakta hai

Jaa.. kuch bhi ho sakta hai..

Inkaar - Zindagi ka Karobar - lyrics

Inkaar -  Zindagi ka Karobar - lyrics

Song : Zindagi ka Karobar
Film : Inkaar (2013)
Singer : K Mohan
Composer : Shantanu Moitra
Lyricist : Swanand Kirkire
Music Label : T-Series


Yeh zindagi ka karobar

Yeh hasratein bhi beshumar

Khud ke guroor par ho sawaar

Khud se hi apni jeet haar hai


Yeh zindagi ka karobar

Yeh hasratein bhi beshumar

Khud hi khade hain khud ke khilaaf

Khud kashti hain khud hi sailaab

Khud hain sawaal khud hi jawaab

Tufaano mein banke chiraag

Kyun jalte jaaye hain

Kyun jalte jaaye hain (2)


Yeh zindagi ka karobar

Yeh hasratein bhi beshumar

Khud ke guroor pe ho sawaar

Khud se hi apni jeet haar hai


Yeh zindagi ka karobar

Hasratein bhi beshoomar hoo


Yeh zindagi ka karobar

Yeh hasratein bhi beshumar

Khud ke garoor pe ho sawaar...

Inkaar - Maula Tu Malik hai - lyrics

Inkaar - Maula Tu Malik hai - lyrics

Song : Maula Tu Malik hai
Film : Inkaar (2013)
Singer : Swanand Kirkire, Shantanu Moitra
Composer : Shantanu Moitra
Lyricist : Swanand Kirkire
Music Label : T-Series

Abb hum gum huey gum huey..

Abb hum gum huey gum huey..

Sare aam gum huey, gum huey

Sare raah gum huey, gum huey

Hum bekhabar besabar benazar kho gaye


Maula tu Malik hai

Allah tu Malik hai.. (2)


Abb hum gum huey gum huey..

Kal tak hum thhe, aaj tum huey

Sare raah gum huey, gum huey

Hum bekhabar besabar benazar kho gaye


Maula tu Malik hai

Allah tu Malik hai.. (2)


Ishq ghazab ka shehar hai

Ishq deewano ka basar hai

Bheed karodo ki yahaan pe

Bas ek teri kasar hai

Naino ke bheege bheege rishte haaro se

Tujhko rijhaana hai


Maula tu Malik hai

Allah tu Malik hai.. (2)


Abb hum gum huey gum huey

Abb hum gum huey gum huey

Sare aam gum huey, gum huey

Sare raah gum huey, gum huey

Hum bekhabar besabar benazar kho gaye


Maula tu Malik hai

Allah tu Malik hai.. (4)


Inkaar - Darmiyan - lyrics

Inkaar - Darmiyan - lyrics

Movie : Inkaar
Song : Darmiyan
Film : Inkaar (2013)
Music Composer : Shantanu Moitra
Singer : Swanand Kirkire
Lyricist : Swanand Kirkire
Music Label : T-Series
Star cast : Arjun Rampal, Chitrangada Singh


Kyun nigahe nigahon ko shiqwe sunaye

Murda afsurda lafzon ki maani jagaaye

Jo hai khud se shiqayat, Kyun tujhko bataye

Kyun hum yaadon ke rangon se khwabon ko sajaye

Ye kaisi baat badh rahi hai, Tere mere darmiyan

Ye kaisi baat jag rahi hai, Tere mere darmiyan

Kyun subah khil rahi hai, Tere mere darmiyan

Kyun shaam dhal rahi hai, Tere mere darmiyan

Kyun nigahe nigahon ko shiqwe sunaye

Murda afsurda lafzon ke maani jagaye


Baat sehmi sehmi si teri ore thi chali

Phisal gayi kyun?

Maine barf si kahi, shola ban tujhe mili

Badal gayi kyun?

Mayano ka bojh se baat seedhi saadi si

Kuchal gayi kyun?

Baat aandhiyan liye hotho tak toh aayi thi

Thithak gayi kyun?

Baat koi geet ban hole gungunayi thi

Baras gayi kyun?

Baat reshmi si ek sej pe bichhayi thi

Ulajh gayi kyun?

Hey bolona hey bolona ji bolona

Humko bhanwar me yun chodo naa

Dhai sa aakhar hai bolona

Ji bolona ji bolona ji bolona

Ye kaisi baat pal rahi hai, Teri mere darmiyan

Ye kaisi baat jag rahi hai, Teri mere darmiyan

Kyun subah khil rahi hai, Teri mere darmiyan

Kyun shaam dhal rahi hai, Teri mere darmiyan


Kyun nigahe nigahon ko shiqwe sunaye

Murda afsurda lafzon ki mani jagaaye

Jo hai khud se shiqayat, Kyun tujhko bataye

Kyun hum yaadon ke rangon se khwabon ko sajaye

Ye kaisi baat badh rahi hai, Tere mere darmiyan

Ye kaisi baat jag rahi hai, Tere mere darmiyan

Kyun subah khil rahi hai, Tere mere darmiyan

Kyun shaam dhal rahi hai, Tere mere darmiyan

Kyun nigahe nigahon ko shiqwe sunaye

Murda afsurda lafzon ke mani jagaye


Ye kaisi baat badh rahi hai, Tere mere darmiyan

Ye kaisi baat jag rahi hai, Tere mere darmiyan

Kyun subah khil rahi hai, Tere mere darmiyan

Kyun shaam dhal rahi hai, Tere mere darmiyan



Pages

Powered by Blogger.

Popular Posts

- Copyright © Inkaar-lyrics-2013 -Metrominimalist- Powered by Blogger - Designed by Johanes Djogan -